Chand Mera Dil
ai chand, tu bata de mujhe
kyon hai teri chandni main aisa deewanapan
use dekhte hi
us sundarata ka hota hai ehsas
ki aah swarg hian wahan
jab badalon se nikalta hain tu
aur dhire se man pe cha jata hai
nazre hati nahi hain tujhse
wahin ruk jata hun
aur teri chandni main phir madhosh ho jata hu
raat ke andhere main
sunsan si sadak pe
door kale se ped ke shakhon se
jab nkialta hai tu aur
teri chandni nazar aati hi
roshan ho jata hai man
aisa sama ho jata hai
sundarta swayam phadharti hai
aur phir woh deewangi cha jati hai
jab dekhta hun tujhe khule aasman pe
lagta hai sab tare tukhe meri tarah dekh rahain hain
sab ka man moh liya hai teri chandni ne
yeh bhi meri tarah deewane hain
bas main yahin reh jata hun
aur yeh tere sath chale jate hain
main bhi dhoond raha hun aisi chandni
jisse mere daag bhi sundar lage
aur khil uthe mera bhi man aise
jaise poonam pe tera jadoo chaya
kahan hai meri chandni
ai chand, tu de bata mujhe
Wednesday, July 26, 2006
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment